Bewafai
Shayari
PAGE=6
Aate Jaate Wo Hume Nishani De Gayi
By : Gagan (Views :
336)
aate jaate wo hume nishani de gayi
umar bhar dohra saku aisi kahani de
gayi
usse main kuchh paa saku aisi kaha thi ummeed
shukar hai khuda ka wo
meri aakhon mein paani degayi
Hum Ruthe To Kiske Bharose
By : Gagan (Views : 275)
hum ruthe to kiske bharose
kaun hai jo aayega hume manane ke liye
ho
sakta hai taras aa bhi jaye aapko
par dil kaha se laau aapse ruth jane k
liye
Kasoor Na Unka Tha Na Hamara
By : Gagan (Views :
242)
kasoor na unka tha na hamara
hum dono hi rishto ki rasam nibhate
rahe
woh dosti ka ehsaas jatate rahe
hum mohabbat ko dil me chhupate
rahe
Woh Hamare Nahi To Kya Gum Hai
By : Gagan (Views :
226)
woh hamare nahi to kya gum hai
hum to unhi ke hain yeh kya kam hai
na
gum kam hain na aansu kam hai
dekhte hain rulane wale mein kitna dam hai
Naksh Kuchh Mitte Rahe Kuch Sooratein
By : Gagan (Views
: 211)
Naksh kuch mitte rahe kuchh sooratein banti rahi
Ranj ki beshi se kabhie
raahatein banti raheen
Mera sarmaayaa umeedon ke sivaa kuchh bhi na
thaa
Kuch to yaadein ban gayi kuchh hasratein banti rahi
Raaste Khud Hi Tabahi Ke Nikale Humne
By : Gagan (Views
: 186)
Raaste khud hi tabahi ke nikale humne
kar diya dil kisi patthar ke hawale
humne
Haan! hume maalum hai kya cheez hai mohabbat yaaro
apna hi ghar jala
ke dekhe hain ujjale humne
PYAR MEIN DHOKHA
By : Gagan (Views : 431)
Yun Dhoka Mila Hai Pyar mein ke
Jeete Jee hum Mar Gaye
Naa Jaane Kya
Bhool Hui Thi Humse
Woh Beech Raah Se Hi Chale Gaye
Bharosa Kiya Tha
Jispar Humne
Saathi MajHdhar mein hi ChHod Gaye
Bewafaa
By : Gagan (Views : 408)
Khoye hain hum jinki Yaadon mein,
Jane woh Kahan hai,
Kaise Samjhaye
hum dil ko,
Saathi woh Bewafaa hai.
Jinhe Chaha tha humne,
Jaan Se bhi
Badhkar.
Yun Hata diya hume,
Jaise raah Pade Koi Pathar.
MAJHDHAR MEIN
By : Gagan (Views : 314)
Kyun Chuna Tha Hame, Agar Dil hi Todna tha hamara,
Kyun Vaada Kiya Tha
humse, agar Nibhana hi Naa tha Saath Hamara,
Kyun Majhdhar Me Chhod Diya hume
Naiya Me bithakar,
Kyun Dhoka Diya hume, Pyar Ke Jhoothe Sapne dikhakar.
BEWAFA HO JATE HAIN
By : Gagan (Views : 282)
KABHI RAASTE JUDA HO JATE HAIN
KABHI LOG KHAFA HO JATE HAIN
HUM TO
SABSE WAFA KARTE HAIN
PAR JAANE KYUN LOG BEWAFA HO JATE HAIN
Gum Ho Gaye
By : Gagan (Views : 601)
Woh Chale Gaye Humse Itni Door ke,
Mudkar phir kabhi naa dekha hume.
Hum Reh gaye Raha takte unki,
Woh Naye Jahan Me Gum Ho Gaye.
Shayad phir Kabhi Naa Ho Mulakat Unse,
Phir Bhi Dil Ki Yahi Dua Hai.
Woh Khush Rahe Us Jahan Mein,
To Kya Hua Agar Hum Is Jahan mein Tadapte
Rahe.
Kismat Ki Karvat
By : Gagan (Views : 369)
Ek Saal Purana Hai Yeh Kissa hamara
Paa Liya tha Unke Pyaar Ka
Sahara
Naa Dekha phir Kabhi Piche mudkar dobara
kismat Ne lekin aisa chakkar Ghumaya
Toot gaya mehalon ka woh ghar
hamara
Naa saathi raha, naa sahara raha,
Sheesh Mahal ka sapna adhura hi
reh gaya.
Duniya To Duniya Hai
By : Gagan (Views : 532)
Duniya to duniya hai
apne bhi beech raste me chhod jate hain
hum ne
jis par bharosa kiya usi ne rulaya hai
zindagi samajh kar pyaar kiya jise
usi ne bewafai ki humse
Viswaash
By : Gagan (Views : 452)
Kadam Kadam Pe Hai Dhokhe
Vishwaas Bahoot Door Hai
Na Karna Tum
Bewafai Unse
Jo Dil Ke Kareeb Hai.
Zindagi Ne Kuchh Aise Mod Par
By : Gagan (Views :
712)
zindagi ne kuchh aise mod par khada kar diya
Tum se mil kar bhi na mil
sake
Kehni to thi hazaro baatein
Puchhne to the hazaaro sawaal
Lekin
duniya ke nazaroon ne
Tumhari nazaroon se nahi milne diya
zindagi ne kuch
aise mod par khada kar diya
Tum se mil kar bhi na mil sake.
Manasif Tod Do Saare
By : Gagan (Views : 639)
manasif tod do saare mera dil mujh ko dedo tum,
mohabbat aap ki duniya
mein hai mandi tijarat ki,
tu rehnewaali mehalon ki, main ek tasweer gurbat
ki,
teri nazron mein kya hogi qadar meri mohabbat ki.
Kabhi Nafrat Na Milegi
By : Gagan (Views : 794)
dil todke tumko bhi raahat na milegi,
mujh jaisi kisi aur ko milne ki
chaahat na milegi,
barbaad hokar bhi tera bura na chaaha,
dil cheer ke
dekh lo kabhi nafrat na milegi.
Kya Janu
By : Gagan (Views : 1491)
tum dil ki batein kya samjho
tum dil ka lagana kya jano
tum aag lagana seekh gaye
per aag bujhana kya jano
ek baar agar tum rooth gaye
hum tum ko mana hi lenge
ek baar agar hum rooth gaye
tum hum ko manana kya jano
kuch saath chale kuchh chhod gaye
waade jo kiye wo tod gaye
saathi to banate rehte ho
per saath nibhana kya jano
Vo Rulakar Hans Na Paya Der Tak
By : Gagan (Views :
1195)
Vo Rulakar Hans Na Paya Der Tak
jab main rokar muskuraya der tak
bhulana chaha agar us ko kabhi
aur bhi vo yaad aaya der tak
bhukhe bachchon ki tasalli ke liye
mann ne phir pani pakaya der tak
gungunata ja raha tha ik faqir
dhup rehati hai na saya der tak
Leke Majhi Ko
By : Gagan (Views : 712)
Leke majhi ko jo hal aya to dil kanp gaya
jab kabhi unaka Khayal aya to
dil kanp gaya
Aisa toda tha muhabbat mein kisi ne dil ko
jab kisi shishe men bal aya to
dil kanp gaya
Sar bulandi pe to magrur the ham bhi lekin
chadhte suraj pe zaval aya to
dil kanp gaya
Bad-nazar uthne hi vali thi kisi ki janib
apni beti ka Khayal aya to dil
kanp gaya
Apni Aankho
By : Gagan (Views : 735)
Apni aankho ke samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke
mar jaane de
Aye mere dost main samjunga tujhe bhi apna
Pehle maazi ka
koi zakhm to bhar jaane de
Aag duniya ki lagayee hui bujh jayegi
Koi
aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
Zakhm kitne teri chahat se mile hain
mujhko
Sochta hoon ki kahoon tujhse magar jaane de
Apni aankho ke
samundar mein utar jaane de
Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
CHEHRE KA AKS
By : Gagan (Views : 568)
MERE KAMRE MEIN
TANHAAI KA RAKS
MERI YAADON MEIN
TERE CHEHRE KA
AKS
MERI BAATON MEIN
TERE LEHZE KI KASAK
MERI PALKON PE
YEH LARZATE
ASHK
MERE KAANO MEIN
TERI ANNKAHI
MERI ANNSUNI
BAATON KI
SADA
MERI AANKHO MEIN
TERI PAAKIZA ADA
MUJHEY BESUKOON KARNE KO
HAR
PAL
HAR LAMHA
YEH KHAYAAL TERA
AE MERI JAAN E ADA
ABB TU HE
BATA
YEH KISS GUNAH KI HAI MAIN NE PAYI SAZA
Mere Sabar
By : Gagan (Views : 844)
Mere sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo tere bagair na jee sake
Use jeene ki to duaa na de
Tu azeez Dil-o-nazar se hai
Tu qareeb Rag-o-jaan se hai
Mere Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur badha na de
Tujhe bhool ke bhi na bhulaa sakoon
Tujhe chah ke bhi na pa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na de
Wo tadap jo shula-e-jaan mein thi
Mere tan badan se lipat gayi
Jo bujha sake to bujha ise
Na bujha sake to hawa na de
Tujhe agar milein kabhi fursatein
Meri shaam phir se sanwaar de
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayion ki saza na de
Sirf Unhi Se
By : Gagan (Views : 465)
kisi aur ki bahon mein rehkar
hamse wafa ki baat karte hain
ye kaisi
chahat hai dosto
woh bewafa hai ye jankar bhi
ham sirf unhi se pyaar
karte hain
SABR KI INTEHA
By : Gagan(Views : 432)
matt puch mere sabr ki inteha kahan tak hai
tu sitam karle teri takat
jahan tak hai
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi
hame to dekhna hai tu
bewafa kahan tak hai